Recent Pakistani Lyrics

Recent Punjabi Lyrics

Post Page Advertisement [Top]

Alam Ko Uncha Rakhna Hai Lyrics is a beautiful Noha Recite by Ali Jee and also a Special Appearance by Safeer E Aza - Syed Nadeem Raza Sarwar presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Ali Jee, Nadeem Sarwar & Ali Shanawar, and the lyrics are beautifully penned by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Jee. Ali Abbas Naqvi has skillfully directed the noha video for Alam Ko Uncha Rakhna Hai.


Alam Ko Uncha Rakhna Hai Lyrics - Ali Jee | New Noha 2024


Alam Ko Uncha Rakhna Hai Noha Details: 

Noha: Alam Ko Uncha Rakhna Hai
Reciter: Ali Jee
Composition: Ali Jee, Nadeem Sarwar & Ali Shanawar
Poetry: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Jee
Director: Ali Abbas Naqvi

Alam Ko Uncha Rakhna Hai Lyrics 

Mola Abbas (a.s) Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s)

Yaadgar e Karbala Hai Ye Alam Abbas (a.s) Ka
Aj Bhi Lehra Raha Hai Ye Alam Abbas (a.s) Ka

Ae Sher e Nayastan e Haider
Teri Yaad Ko Zinda Rakhna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Mola Abbas (a.s) Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s)

Ap Dikhlate Ho Dunya Ko Wafa Ka Rasta
Ap Bulwate Ho Ghazi Zairon Ko Karbala
Ap Milwate Ho Shah e Karbala Se Ba Khuda
Ham Sab Ka Wasila, Ya Abbas (a.s)
Ham Sab Ka Wazeefa, Ya Abbas (a.s)
Ham Sab Ka Wasila, Sab Ka Wazeefa
Sab Ne Dil Se Mana Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Ali Kay Noor e Aain
Umul Baneen Kay Chain
Ayi Jan e Hussain (a.s)
Teri Yaad Ko Zinda Rakhna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Mola Abbas (a.s) Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s)

Ye Khuda Ka Hai Wasila Sab Ka Pyara Hai Alam
Gham Zada Logon Ka Dunya Main Sahara Hai Alam
Ba Khuda Hai Naaz Ham Ko Ye Hamara Hai Alam
Jo Alam Pay Aaya, Ya Abbas (a.s)
Jo Manga Wo Paya, Ya Abbas (a.s)
Jo Alam Pay Aaya, Manga Wo Paya
Alam Pay Jate Rehna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Ae Sher e Nayastan e Haider
Teri Yaad Ko Zinda Rakhna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Mola Abbas (a.s) Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s)

Aaj Charcha Hai Jahan Main Jabaja Abbas (a.s) Ka
Aaj Har Bazm e Wafa Main Tazkira Abbas (a.s) ka
Ba Khuda Har Qaum Main Har Ba Wafa Abbas (a.s) Ka
Har Dil Main Hai Rehta, Ya Abbas (a.s)
Dharkan Main Dharkta, Ya Abbas (a.s)
Har Dil Main Hai Rehta Dil Main Dharkta
Dil Main Hamare Rehna Hai

Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Be Chain Hai Kiun
Be Taab Hai Kiun
Kiun Dil Payr Apne Booj Liye
Chup Chap Ghamo Ko Sehta Hai
Tu Pursa Dar Hai Ghazi Ka
Chal Aj Alam Payr Chalte Hain
Abbas (a.s) Wasila Hai Rab Ka
Abbas (a.s) Se Kayh Jo Kayhna Hai
Ye Alam Hai Mola Ghazi Ka
Yahan Rab Ki Rizain, Milti Hain
Yahan Chodan (14) Shifain, Milti Hain
Yahan Baran (12) Adain, Milti Hain
Yahan Panch (5) Panahain, Milti Hain
Bas Sath Alam Kay Rehna Hai

Jab Alam Hai Sath To Samjho Alam Wala Bhi Hai
Jab Alam Wala Hai To Samjho Shah e Wala Bhi Hai
Sath Hai Bibi Sakina Or Mashqeeza Bhi hai
Ye Alam Jahan Hai, Ya Abbas (a.s)
Han, Mera Chain Wahan Hai, Ya Abbas (a.s)
Ye Alam Jahan Hai Chain Wahan Hai
Sath Isi Kay Chalna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Ali Kay Noor e Aain
Umul Baneen Kay Chain
Ayi Jan e Hussain (a.s)
Teri Yaad Ko Zinda Rakhna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Mola Abbas (a.s) Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s)

Arre Loot Kar Darya Se Jab Aaya Na Ghazi Ba Wafa
Zainab O Kulsoom Ne Di Wa Hijaba Ki Sada
Dekh Kar Khali Alam Abbas (a.s) Ka Matam Hua
Zainab Ne Pukara, Ya Abbas (a.s)
Wada Hai Hamara, Ya Abbas (a.s)
Zainab Ne Pukara Wada Hamara
Alam Ye Ghar Ghar Sajna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Ae Sher e Nayastan e Haider
Teri Yaad Ko Zinda Rakhna Hai
Is Alam Ko Uncha Rakhna Hai

Mola Abbas (a.s) Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s), Ya Abbas (a.s)

Meray Sath Hai, Meray Sath Hai
Ye Alam Hamesha Sath Hai

Mera Chain Hai Sakoon Hai
Meri Rahat Ye Alam
Mera Sayeban Mera Pasban
Meri Chahat Ye Alam

Meray Sath Hai, Meray Sath Hai

Main Chalon Kahin, Meray Sath Hai
Main Rahon Kahin, Meray Sath Hai
Main Chalon Kahin Main Rahon Kahin
Har Raste Payr Har Mod Payr
Ye Alam Hamesha Sath Hai

Written by: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Ali Jee


Alam Ko Uncha Rakhna Hai Noha Video

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad [Post Page]

| Designed by Colorlib