Asmaan Se Lyrics is a beautiful song from the new album Take This When You Are Down 2024 sung by Arya x Saswat Balan x Eagle Beatz and presented by the Arya Music label. The music for this captivating track Asmaan Se has been given by Eagle Beatz& Aman, with heartfelt lyrics from Deepak Singh, and Shivesh Pandey.
Asmaan Se Song Details:
Song: Asmaan Se
Singers: Arya x Saswat Balan x Eagle Beatz
Lyrics: Deepak Singh, Shivesh Pandey
Music: Eagle Beatz, Aman
Music Label: Arya Music
Asmaan Se Lyrics
Teri aankho aankho aankho me
Mai kho sa gaya hu
Teri aankho aankho aankho me
Mai kho sa gaya hu
Teri aankho aankho aankho me
Mai kho sa gaya hu
Teri aankho aankho aankho me
Mai
Na jane tu piyaa
Teri taraf se
Ishq na kam hojaye
Badal garaje ye aasmaan se aur
Taalon ke dhun me bhi
Naache na gaaye
Oo ranjhanaa
Tum ghabrao na tum mere tum o saaware
Tum tadpao na mai yaha tumko dhunde re
Yaadon me dekhu mai toh na hai vo raaste
Jisme tum the saaware
Tere peeche ghoomi pagalo si
Ghar tu mera tha mai aawaro si thi
Tere liye duniyaa se baatein band ki
Tune choom li uchaai mere labo ki tadap tujhe chu saki nahi
Aise kya halaat jo tu sun saka na
Ghoomta raha tu mai tera thikana
Khwaab tere jeene lagi subha se shaam tak
Khwaab mere tu kabhi na bun saka tha
Sun jaaniyaa mai jaanti hu tera dil bada tha
Meri thi jagah na tere aasre me kabhi betahasha
Teri shaayari me mera naam leke mujhe if bhool jaana
Teri kala ke liye kiya tha sab nilaam tu mere dil ke insaan pe kyu hass raha tha
Mujhe de jawaab
Teri khaamoshi na maar de tu kar sawaal
Tu utha ke fek dena saare kaagaz aaj
Jo teri kala mere naam ki na ho gulaam
Kaash itni dafa tu mera naam leta
Paas me bula ke mujhe jaan kehta
Todta nahi woh saare kaayde banaye the jo saath me diwaaro pe tu aaj un diwaaro ke kareeb baitha
Khuda mere meri galtiyaan kaafi
Sir pe khadi hai maut maine sardiyaan kaati
Bina ghar ke zamaane me munaafiqo ka aadi
Ghute dum ye makaam bani khwaahishon ki faasi
Mai sawaal yaa jawaab ka hisaab laga baitha
Wo sawaarta mujhe aur mai diwaar ke pare tha
Kalakaar ka kiraya hai gulaam na samay ka
Maine khud ko khuda bulaya khud ke bure ka
Khuda mere kar de koi karam
Gunaah ko dhak de aake meri soch se
Kitna kuch kamaya roz
Firbhi ye mujhe tol denge note pe
Ye khokle samaaj ke
Aur dogle mizaaj se
Ye tod denge khwaab
Jo saharo ke the aas pe
Hisaar mera kare intezaar tere paav ke
Tu aayegi is aas me hi diye ko na aag de
Hum aajse kharaab hone lage hain ye jaan ke
Khuda mera gawaah tha jab bhi maut ko awaaz de
Toh bhaad me lakeere aur woh saare tere maaine
Jo bhi na mere qaabu me the aur na the gawaahi me
Mai khoshishon pe koshishen ye karta hi gaya tha ke tu ek dafa aasre bulaalega buraai se
Tu mere liye jagah meri arsho pe banaye par tu farsho pe jeene ke liye mujhko na wajaah hi de
Badal garaje ye aasmaan se aur
Taalon ke dhun me bhi
Naache na gaaye
Badal garaje ye aasmaan se aur
Taalon ke dhun me bhi
Naache na gaaye
Oo ranjhanaa
Oo ranjhanaa
Written by: Deepak Singh, Shivesh Pandey
No comments:
Post a Comment