Aulad Agar Teri Hoti Akbar Lyrics is a beautiful Noha Recite by Syed Raza Abbas Zaidi presented by the Syed Raza Abbas Zaidi Records label. This creative noha is composed by Nayyar Abbas, and the lyrics are beautifully penned by Janab Zeeshan Abidi. Ali Arman Baltistani has skillfully directed the noha video for Aulad Agar Teri Hoti Akbar.
Aulad Agar Teri Hoti Akbar Noha Details:
Noha: Aulad Agar Teri Hoti Akbar
Recited By: Syed Raza Abbas Zaidi
Poetry By: Janab Zeeshan Abidi
Composition: Nayyar Abbas
Directed By: Ali Arman Baltistani
Aulad Agar Teri Hoti Akbar Lyrics
Jawan Betay Ko Aghosh Main Uthaye Huwe
Hussain Khak Pe Bethay Hain Sar Jhukaye Huwe
Aulad Agar Hoti Teri Mera Dard Samjhta Tu Akbar
Ek Lash e Jawa'n Pe Ek Baba
Deta Tha Sada Yeh Ro Ro Kar
Na Khud Ko Sambhala Jata Hai Na Tujh Ko Sambhala Jata Hai
Tujhe Kya Maloom Jawa'n Beta Kis Tarha Se Pala Jata Hai
Girta Hu Kabhe Main Uthta Hoon
Jaonga Tujhe Kesy Lekar
Laila Se Ye Keh Kar Aya Hu Akbar Ne Bulaya Hai Mujhko
Tum Maa Ho Dua Mango Usne Seene Pe Na Barchi Khai Ho
Jene Ke Duain Karti Hai Khaimay Main Teri Maa Ro Ro Kar
Athara Baras Tujh Ko Apne Seene Se Lagaya Hai Main Ne
Tery Sath Apny Armano Ko Parwan Chadhaya Hai Main Ne
Arman Tha Meri Mayyat Ko
Kandhay Pe Uthaye Tu Akbar
Akbar Meri Zainab Kay Dil Main Armaan Tha Teri Shadi Ka
Aye Kash Wo Tere Mathay Pe Ek Bar Saja Leti Sehra
Bandhna Tha Jahan Per Haye Sehra
Hai Khoon Tery Us Mathay Per
Is Baat Pe Rona Ata Hai Mere Sath Agar Aati Sughra
Awaz Teri Sun Kar Ran Mein Tujhe Dhundne Ajati Sughra
Teri Lash Pe Aker Mar Jati
Sughra Bhaiya Bhaiya Keh Kar
Jitna Main Ghareeb Hu Aye Akbar Koi Baap Ghareeb Na Ho Itna
Pani Khud Manga Tha Tu Ne Pyasa Tha Na Jane Kitna
Tere Kehne Per Bhi Main Tujh Ko
Pani Na Pila Paya Dilbar
Yeh Akhri Khwahish Hai Meri Sajjad Se Keh Dunga Ja kar
Jab Bara Muharram Ko Wo Sab Kay Lashon Ko Dafanaye Aakar
Mere Pehlu Main Tum Ko Dafna De
Kabhi Door Na Ho Mujh Se Akbar
Asan Nahi Hai Yeh Lamha Us Waqt Bataya Tha Main Ne
Tere Samne Hurr Ke Betay Ka Jab Lasha Uthaya Tha Main Ne
Aulad Ka Gham Kya Hota Hai
Pooche Yeh Koi Mujh Se Aakar
Kandhay Pe Jawa'n Lasha Lekar Jab Khaimo'n Tak Pohche Mola
Zeeshan o Raza Yeh Kehte Hue Chuma Ali Akbar Ka Chehra
Teri Lash Utha Kar Kis Tarha
Jaoon Main Khaimon Kay Andar
Written by: Janab Zeeshan Abidi
No comments:
Post a Comment