Baap Se Batain Karo Akber Lyrics is a beautiful Noha Recite by Mir Hasan Mir presented by the Mir Hasan Mir Records label. This creative noha is composed by Janab Raza Shah, and the lyrics are beautifully penned by Janab Mir Takallum. Qamarain Haider Rizvi has skillfully directed the noha video for Baap Se Batain Karo Akber.
Baap Se Batain Karo Akber Noha Details:
Noha: Jhoola hai ya taboot tumhara ali asghar
Recited By: Mir Hasan Mir
Composition: Janab Raza Shah
Lyrics: Janab Mir Takallum
Directed By: Qamarain Haider Rizvi
Label: Mir Hasan Mir Records
Baap Se Batain Karo Akber Lyrics
Haaye...
Haye jawan laal ko maqtal se jab uthake chale
Hussain rote rahe aur pisar se kehte rahe
Khamosh na ho baap se baatein karo akbar
Khamosh na ho baap se baatein karo akbar..(3)
Hum tum ko mila denge..
Hum tum ko mila denge phupijaan se jaakar
Aye laal kaleje mein abhi dard to hoga
nikla hai lahu itna badan sard to hoga
tum chup ho to chalte hai..(2)
mere qalb pe khanjar
Qadmo ki taraf se hai uthaye hue baba
aur sar ki taraf se hai sambhale hue Zahra
ankho'n ko zara kholke dekho to yeh manzar
Tum khoon ugalte ho to bhar jata hai chullu
batlao karein zabt kaha tak mere aasu
beta nikal aayega kaleja mera bahar
Darya pe gaye honge jo ladte hue beta
jaldi se batao mera phat-ta hai kaleja
kis haal mein hai lasha e abbas e dilawar
Tum khud bhi samajhte ho yeh majboori meri hai
ahista jo chalta hun kamar tooti hui hai
thoda sa safar baaqi hai..(2)
himmat karo dilbar
Beta hume maidan ki rudaad sunao
kya haal hai ab pyaas ka baba ko batao
anguthi dahan kyu nikal aayi hai bahar
Maathe se pasina to abhi saaf kiya hai
kya zakhm ki takleef ne muh khol diya hai
saansein kyu meri jaan nahi aati barabar
Sheh bole takallum ke utho aagaya khaima
seene se zara haath hata lo mere beta
is haal mein dekhengi to, mar jayegi madar
Khamosh na ho..
Khamosh na ho baap se baatein karo akbar
Written by: Janab Mir Takallum
No comments:
Post a Comment