Confession Lyrics is a beautiful song sung by Bella & Prabhash Joshi, and presented by the BellaOfficials Music label. The music for this captivating track Confession has been given by Uziii, with heartfelt lyrics penned by Bella. The music video for Confession has been skillfully directed by Vikram Udawat.
Confession Song Details:
Video By: Vikram Udawat
Music Label: BellaOfficials
Read More: Prove Them Wrong Lyrics - M-Zee Bella
Confession Lyrics
Dil Mein Sab Dabaa Chuka Kisi Se
Baat Ni Karta Mujhko Is Duniya Se
Kuch Khaas Zyada Farak Ni Padta
I Guess
Ye Khooni Mere Andar Ek Ghar Bana Ke Rehta Hai
I Feel Him
Ye Shayad Mere Sapne Hai
Jo Mere Aayine Mein Mera Chehra Lete Hai
Lo Jaan Lelo Agar Ye Theek Lage
Mein Shaant Khada Rahu
Yaa Fir Ek Kahi Suni Baat Bana Rahu
Kisi Ki Aawaz Bana Rahu
Ye Pagal Hai Jo Mere Liye
Jaan Dene Aa Jate Hai
I See Pain Ye Itna Grief
Ye Itna Bojh Jeena Chaahte Hai
Mein Maayus Ho Jata Hun
Jab Ye Chize Mere Saamne Aati Hai
Aankhe Nam Hojaati Hai
Raatein Sona Chahti Hai
Maa Ke Taane Khaati Hai
Bas Kar Yaar
Mein Layak Nai Hun Gayak Nai Hun
Shayar Nai Hun Waqif Nai Hun
Shamil Nai Hun Haazir Nai Hun
Mein Pagal Nahi Hun Yar Mein Pagal Nai Hun
Is Jaanam Toh Shayad Mein Kisi Ke Bhi Layak Nai Hun
Thodi Daaru Peene Baitha Toh Koi Yaad Aajae
Kisi Bewafa Ka Call Mere Phone Pe Aaj Aajae
Usey Itna Kossunga Ki Aankhe Uski Bhi Ho Nam
Mere Ek Ek Ghoot Mein Suroor Aajae
Aaj Maanlo Ke Mere Sir Pe Fitoor Aajae
Behosh Hu Meri Maa Ko Ye Kaun Bole
Ke Mein Dukhi Tha Ya Faansi Lene Wala Tha
Meri Behen Bethi Kosegi Ki Bhai Tu Toh Jeet Ghar Laane Wala Tha
Mere Liye Duniya Ek Karne Wala Tha
Papa Ki Daaru Chhudane Wala Tha
Meri College Ki Fees Dene Wala Tha
Ab Kya Hoga Un Baaton Ka
Asal Mein Koi Kisi Ki Pariksha Ni Leta
Sabhi Kisi Ko Kuch Ni Maante
Aansu Ke Aage Paise Ka Wazan Hai
Shaitaan Ke Aage Log Bhagwaan Ke Praan De
Mnaa Kar Khudko
Meri Jeet Mein Shaamil Hone Se
Yaa Toh Todd De Ye Nafrat Aur Abhi
Aur Abhi Hume Ek Hone De
Mein Likhu Jesa Bhi Meri
Maa Ko Mujhpe Naaz Hone De
Meri Zindagi Ko Jo Bhi Shraap Mile
Usey Deepak Singh Aka Bella
Ke Naam Hone De
Yaa Toh Mashoor Hone De
Yaaa Toh Badnaam Hone De
Is Lahoo Ka Rang Mitti Mein Millike Goodha Hone De
Samaaaj Ki Soch Ko Kuda Mattt Hone De Dost
Mujhe Akela Matt Chodh
Bachpan Se Meri Saadgi Qaabu Nahi Hai
Aashiq Hun Toh Dhokhe Khaake Zinda Rehna Laazmi Bhi Hai
Meri Shaayari Auro Jesi Aam Nai Hai
Maafi Mere Guroor
Agar Shayari Hai Toh Kisi Ki Bhi Aam Nai Hai
Ye Tera Guroor Hai Ke Shayari Aam Hoti Hai
Local Dosto Se Meri Baatcheet Nai Hai
Door Ke Dosto Ke Paas Chote Bhai Ke Liye Time Nai Hai
I Feel Alone
Mein Is Jung Mein Itna Seh Ke
Wapas Jaane Ko Ready Nai Hoon
Kyunki Mene Seekha Ese Logo Se Jo
Aaj Bhi Unhi Galiyon Mein Hustle Kar Rahe
Koi Ni Dost Hum Jeetenge Ek Din Hum Jeetenge
Ye Baatein Tere Mere Bich Mein Rakh
Kyunki Sachi Hai Toh Kadwi Hongi You Know It
I Still Wish For Humanity
I Still Wish For Good Future
Is Se Pehle Ye Sab Khudme Ladke Hojaae Destroy
I Blame It On Me
I Blame In All Only On Myself
Kyunki Raakh Banke Kisi Ke Sawaal Ka Jawaab Toh Naa Dunga
Aakhir Mar Gya Toh Yakeen Rakhna
Mere Jesa Kabhi Dobara Na Dunga
Ye Haqiqat Hai Naa
Meri Qayanaat Ko Pata Hai Mera
Naseeb Kitna Sateek Hai Na
Mere Brain Mein Ek Machine Hai Na
Jo Mere Dil Ki Na Sune Shhh
Bezubaan Mein Rahun Na Zindagi Bhar
Suno Khuda Karo Mere Sir Pe Koi Aisa Karam
Mere Jazbaaat Muhje Har Raat
Yun Hi Koste Hai
Inki Ye Taqleefein Kardo Khatam
Written by: Bella
Read More: Text Me Lyrics - Yunan X Bella
No comments:
Post a Comment