Hussain Shah Jee Lyrics - Irfan Haider | New Noha 2024
Hussain Shah Jee Lyrics is a beautiful Noha Recite by Irfan'e Aza Syed Irfan Haider presented by the Irfan Haider Records label. This creative noha is composed by Raza Shah, and the lyrics are beautifully penned by Zeeshan Abidi. Qamarain Haider Rizvi has skillfully directed the noha video for Hussain Shah Jee.
Hussain Shah Jee Noha Details:
Noha: Hussain Shah Jee
Reciter: Irfan Haider
Poet: Zeeshan Abidi
Composition: Raza Shah
Directed By: Qamarain Haider Rizvi
Label: Irfan Haider Records
Hussain Shah Jee Lyrics
Azadaran e Husssain Aghaz e Muharam Hai
Aao Aao Sab Mil Ke Kahen
Hussainiyat Zindabad
Ya Hussain Mola Mola
Badshah e Karbala Salam
Tune Kar Diya Azeem Kaam
Hazrat Imam Hussain Aleyhis Salam
Yun To Qabron Se Bante Hain Qabrstan
Tune Magar Qabron Se Karbala Sajai
Ik Saltanat Banai
Us Saltanat Ka Tu Hai Badshah
Bad e Khuda Bad e Nabi
Shahion Ke Silsile Ke Teesre Imam
Tera Naam Tera Kaam Hamesha Rahe Ga
Tu Badshah Rahe Ga
Aashiqon Ke Dil Ki Dharkano Se Arahi Hai Sada
Hussain Hussain Hussain... (Shah Jee)
Karbala Wale Hussain Shah Jee
Mola Hamare Hussain Shah Jee
Har Dil Ye Pukare Hussain Shah Jee
Mola Mola Hussain Shah Jee
Badshah Aaisa Zabardast Hai Tu Shah Sahib
Shahiyan Chhor Ke Sab Aate Hain Teri Janib
Tu Hai Mahraaj Hussain
Takht Or Taaj Hussain
Tere Mohtaaj Hussain
Ban Ke Nokar Jo Tere Dar Pe Chala Aata Hai
Phir Kahin Bhi Dar Tera Wo Chhor Kar Nahi Jata
Karbala Wale Hussain Shah Jee
Mola Hamare Hussain Shah Jee
Har Dil Ye Pukare Hussain Shah Jee
Mola Mola Hussain Shah Jee
Tene Teeron Ke Musale Pe Ibadat Ki Hai
Tune Har Door Main Dunya Pe Hakumat Ki Hai
Ya Aba Abdillah Do Jahan Main Wallah
Hukm Chalta Hai Tera
Fatima Ke Pisar Hai Hame Ye Khabar
Tune Jo Bhi Keh Diya Wo Talta Nahi Hai Khuda
Karbala Wale Hussain Shah Jee
Mola Hamare Hussain Shah Jee
Har Dil Ye Pukare Hussain Shah Jee
Mola Mola Hussain Shah Jee
Aao Zawaro Mere Sath Chalo Roze Par
Sheh Ki Aawaz Pe Labaik Pukaro Mil Kar
Bola Shah Ast Hussain
Badshah Ast Hussain
Deen Panah Ast Hussain
Le Ke Hathon Main Alam Taba Rehna Dam Ba Dam
Ja Raha Hon Main Najaf Se Karbala Ye Kehta Huwa
Salam Hussain Jan, Salam Hussain Jan
Hussain Hussain Jan
Ye Shah e Mashraqain Hai
Ye Shah e Maghrabain Hai
Nabi Ki Jaan Ali Ki Dil
Ye Fatima Ka Chain Hai
Qasam Hussain Ki Qasam Nahi Hai Koi Dosra
Khuda Ki Kainat Main Hussain Bas Hussain Hai
Ya Hussain ilal Hussain, Ya Hussain ilal Hussain
Sari Dunya Main Hussain
Nasl e Zehra Main Hussain
Chodan Baran Main Hussain
Koi Nahi Tere Siwa
Karbala Wale Hussain Shah Jee
Mola Hamare Hussain Shah Jee
Har Dil Ye Pukare Hussain Shah Jee
Mola Mola, Mola Mola
Mola Mola, Mola Mola
Har Hussain Dil Pe Tera Naam Hai Likha
Jis Ke Dil Par Hussain Likha Hai
Us Ke Sar Par Dua e Zehar Hai
Bandh Leta Hai Wo Qafan Sar Par
Aur Marne Ki Arzoo Le Kar
Teri Khidmat Main Aa Ke Kehta Hai
Deewana Tera Deewana
Mera Dil Ya Hussain Tera Deewana
Shozab Habeeb O Jon Zohair Aur Saeed Ki
Maqtal Se AaRahi Hai Sada Har Shaheed Ki
Deewana Tera Deewana
Mera Dil Ya Hussain Tera Deewana
Karbala Karbala Karbala Karbala
Zindabad Arz e Karbala
Karbala Aaisi Emarat Hai Ke Sarwar Ke Siwa
Aik Din Main Koi Tyar Nahi Kar Sakta
Hurr Ke Hathon Ko Ye Kehte Huwe Khola Sheh Ne
Ab Tujhe Koi Giraftar Nahi Kar Sakta
Hurr Ke Chehre Ki Chamak Roz e Dahum Mat Puchho
Lashkar e Yazeed Se Nikal Gya Ye Kehta Huwa
Sada Badshahi Hai Bas Hussain ki
Kiun Na Phir Sada Ho Har Malang Or Faqeer Ki
Karbala Wale Hussain Shah Jee
Mola Hamare Hussain Shah Jee
Har Dil Ye Pukare Hussain Shah Jee
Ajeeb Jang Thi Wo Jang E Karbala Jis Main
Jo Loog Qatl Huwe The Wo Loog Zinda Hain
Tum Jo Kehte Ho Ke Wo Jang Thi Shehzadon Ki
Ham Batate Hain Ke Dono Ki Haqeekat Kya Thi
Lanatullah Udhar Salamullah Idhar
Wo Maiyah Ka Pisar Ye Muhammad Ka Pisar
Wo Tha Allah Ke Qabe Ko Jalane Wala
Aur Ye Khana e Kaaba Ko Bachane Wala
Us Ke Lashkar Ko Mili Zilat o Ruswai Magar
Is Ke Lashkar Main Mila Sab Ko Nishan e Haider
Hussain Jeet Gaye Aur Yazeed Haar Gya
Aao Zeeshan o Irfan e Aza
Mil Ke Dete Hain Sada
Lanat Bar Shajra e Khabeesa
Salam Bar Shajra e Taiyaba
Written by: Zeeshan Abidi