Karbala Janay Walon Lyrics is a beautiful Noha Recite by Mir Jawad Mir & Mir Hasan Mir presented by the Mir Hasan Mir label. This creative noha is composed by Janab Mir Sajjad Mir, and the lyrics are beautifully penned by Janab Mir Sajjad Mir. Qamarain Haider Rizvi has skillfully directed the noha video for Karbala Janay Walon.
Karbala Janay Walon Noha Details:
Noha: Karbala Janay Walo
Recited By: Mir Jawad Mir & Mir Hasan Mir
Lyrics: Janab Mir Sajjad Mir
Composed By: Janab Mir Sajjad Mir
Directed By: Qamarain Haider Rizvi
Label: Mir Hasan Mir
Karbala Janay Walon Lyrics
Karbala Karbala Karbala Karbala
Allahummarzuqna Ziyaratal Hussain (a.s)
Allahummarzuqna Shifatal Hussain (a.s)
Karbala Janay Walo Karbala Jany Walo
Janay Walo Dar e Abbas Pe Jab Tum Jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar Ana
Sab Se Pehlay Unhein Kehna Meri Taraf Se Salam
Phr Yeh Kehna Kay Tarapta Hai Watan Main Wo Ghulam
Kuch Naa Lana Faqt Izzan E Ziyarat Lana
Yeh Arzia Meray Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Kehna Hashim Ki Qamar se karein ye aur karam
Deikhnay Hain Mujhy Rozon Ke badaltay Parcham
Deikhny Hain Mujy Rozon Ke Badalty Parcham
Iss Baras Mah e Azaa Mujh ko Wahi Dikhlana
Yeh Ariza Mere Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Kehna Hazrat Se Wasail Ko Kushada Kar Dein
Mera Iss Saal Zara Rizq Zyada Kar Dein
Betiyu Beton Ko Hum-Raha Mujhy Ay Lana
Yeh Ariza Mere Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Karbala Paison Se Jatay Nahi Mujh Ko Hai Khabar
Tum Bulatay Ho To Khud Mila Jata Hai Zaad e Safar
Likha Ho Ana
Likha Ho Ana To Lagta Nai Ek Bhi Aana
Yeh Ariza Mere Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e Abbas Pe Jab Tum Jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Chotay Hazrat Se Yeh Kehna Ke Hai Ashoor Qareeb
Yeh Bhi Kehna Ke Kya Iss Saal Bhi Tarpay Ka Ghareeb
Un Ka Dena Hai Mujhy Wahan Aaa Ke Nazrana
Ye Ariza Meray Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Un Se Kehna Nahi Manghu Ga Main Asaish o Chain
Neend Jab Aye Gi So Jaon Ga Bain Ul Haramain
Keshh Ko Takkiya Bana Kar Hai Mujhy So Jana
Yeh Ariza Meray Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Arbaeen Ki Jo Banany Lagy Fehrist Aqaa
Naam Mera Bhi Sakina Kay Tasadduq Likhna
Mujh Ko Bhi Karbala Paidal Najaf Se Hai Jana
Yeh Ariza Mere Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Main Agar Shaam Gya Pehlay To Bolu Ga Yahi
Ap Kay Ummu Ne Bejha Hai Sakina Pani
Tum Abalfazl Ke Sartab Ka Pani Lana
Yeh Ariza Mere Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Kaisy Zinda Rahay bin Ap Kay Asghar Ki Behn
Mar Gai Par Naa Khuli Bachi Ki Gardan Se Rassan
Pursa Masoom Sakina Ka Hai Denay Ana
Yeh Ariza Mere Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Mir Sajjad Mir Ko Nohay Ka Silah De Dena
Iss Baras Karb-o-bala aye ga jab wo maula
Ap Nazrany Kay Badlay Main Nazar Aa Jana
Yeh Ariza Mere Maula Ko Suna Kar Ana
Janay Walo Dar e abbas pe jab tum jana
Yah Ariza Meray Maula Ko Suna Kar ana
Written by: Janab Mir Sajjad Mir
No comments:
Post a Comment