Main Alamdar Lyrics is a beautiful Noha Recite by Nadeem Sarwar presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee, and the lyrics are beautifully penned by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Dr Hilal Naqvi. Ali Abbas Naqvi has skillfully directed the noha video for Main Alamdar.
Main Alamdar Noha Details:
Noha: Main Alamdar
Reciter: Nadeem Sarwar
Composition: Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee
Poetry: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Dr Hilal Naqvi
Director: Ali Abbas Naqvi
Label: Nadeem Sarwar
Main Alamdar Lyrics
Alamdar, Alamdar
Ba Wafa Ya Abbas (a.s)
Alamdar, Alamdar
Daykho Wo Tarai Mein Hai Ik Mard e Wafadar
Rakhe Hai Alam Doosh Pay Pyason Ka Tarafdar
Hai Gonji Isi Sher Ki Ghazi Ki Ye Lalkar
Gar Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Is Alam Say nai Tareekh Bana Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Mein Ho Abbas (a.s) e Ali Mein Wafaon Ka Wali
Baat Jab Meri Chali Gonj Utha Ali Ali
Han Meri Wafa Ali Ada Ali Sada Ali
Han Meri Aba Ali Qaba Ali Nava Ali
Mein Agar Chahon To Ik Hashar Utha Sakta Hon
Jalwa e Haider e Karar Dikha Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya Alamdar
Alam Alamdar, Alamdar
Mein Alamdar e Hussain Mein Hon Salar e Hussain
Mein Wafa Dar e Hussain Mein Hon Gham Khuwar e Hussain
Han Mera Shah e Umam Jan o Dilam Hussain Hussain
Han Mera Jaho Hasham Mera Bharam Hussain Hussain
Shan e Shabbir Hai Kya Aaj Bata Sakta Hon
Tum Ko Aadab e Hussaini Mein Sikha Sakta hon
Han Mein Alamdar
Gar Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Is Alam Say nai Tareekh Bana Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Ye Mukadar Hai Mera Ye Alam Mujh Ko Mila
Mein Alam Dar e Wafa Haider e Karbobla
Ye Alam Khula Rahe Utha Rahe Saja Rahe
Ye Alam Jama Rahe Datta Rahe Sada Rahe
Isi Darya Pay Alam Apna Saja Sakta Hon
Or Kate Haton Say Parcham Ye Utha Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya Alamdar
Alam, Alamdar, Alamdar
Mein To Aaya Hi Nahi Jang Ladne Kay Liye
Mashaq Bharni Hai Mujhay Pyase Bachon Kay Liye
Hai Ye Wada Hai Sakina Say Nibhana Hai Mujhay
Pani Lena Hai Kisi Say Bhi Na Ladna Hai Mujhay
Mujh Ko Ladna Jo Pada Kya Hon Bata Sakta Hon
Ghatt Say Lakh Kay Lashkar Ko Bagha Sakta
Han Mein Alamdar
Gar Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Is Alam Say Nai Tareekh Bana Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Aaya Darya Pay Jaari Kanp Uthi Foj e Shaqi
Ye Hai Abbas (a.s) E Jaari Ya Hai Waqai Hi Ali
Bhag Uthi Foj e Jafa Ghazi Jidhar Jidhar Muda
Jis Ka Moh Jidhar Utha Bhaga Gira Nahi Ruka
Bola Abbas (a.s) e Jaari Tegh Utha Sakta Hon
Karbala Mein Tumhain Safeen Dikha Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya Alamdar
Alam, Alamdar, Alamdar
Bhar Kay Mashqeeza Chala Jab Alamdar e Wafa
A Gai Foj e Jafa Gir Gaya Mola Mera
Han Wo Mashqeeza Chhida Bazu Kata Pani Baha
Ghazi Reti Pay Gira Shor e Qayamat Tha Bapa
Aai Ghazi Ki Sada Jan Luta Sakta Hon
Kaise Pani Kay Bina Khaimo Mai Ja Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Gar Ijazat Day Hussain Arsh Hila Sakta Hon
Is Alam Say Nai Tareekh Bana Sakta Hon
Han Mein Alamdar
Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya, Abbas (a.s) Ya Alamdar
Alam, Alamdar, Alamdar
Ba Wafa Ya Abbas (a.s)
Written by: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Dr Hilal Naqvi
No comments:
Post a Comment