Mera Imam Hussain Lyrics - Nadeem Sarwar | New Noha 2024

Mera Imam Hussain Lyrics is a beautiful Noha Recite by Nadeem Sarwar presented by the Nadeem Sarwar label. This creative noha is composed by Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee and the lyrics are beautifully penned by Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Dr Hilal Naqvi. Ali Abbas Naqvi has skillfully directed the noha video for Mera Imam Hussain.


Mera Imam Hussain Lyrics - Nadeem Sarwar


Mera Imam Hussain Noha Details: 

Noha: Mera Imam Hussain 
Reciter: Nadeem Sarwar
Composition: Nadeem Sarwar, Ali Shanawar & Ali Jee
Poetry: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Dr Hilal Naqvi
Director: Ali Abbas Naqvi

Mera Imam Hussain Lyrics 

 Imam Hussain Imam x4
Sab ko khabar ha sab ko pata hai
Phir bhi hai lazim 
Yaad dilana Yaad dilana 
Ya Hussain
Ho chuka hai faisla  Hussain Imam Hussaina 

Sab ne yehi kah dia Hussain Imam Hussaina
Aisa zamany main koi aa nahi sakta
Kon hai wo badshah haan mera  imam hussain
Kon hai wo badshah haan mera  imam hussain
Aisa  koi zamanay main aa nahi skta
Kon hai wo badshah haan mera imam hussain
Bol  Imam hussain  Imam hussain Imam Hussain 

Mil kar kaho momino mera hai mera hussain
Har qoum ki hai sada apna hai apna hussain
Pak Muhammad ka nawasa mera moula
Haider e karaar ka beta mera moula
Kitno ki dharkan ma darakta mera moula
Kitno k ghar ka hai ujala mera moula
Naaz e Ali murtaza Hussain imam Hussaina
Jaan o Dil e Fatima Hussain imam Hussaina
Shan e Hussain aur koi jaan nhi sakta
Waris e SalleAlaa Han Mera  Imam Hussain
Waris e SalleAlaa Han mera  Imam Hussain
Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain

Mera wird e zubaan Rahat e Jaan Mola Hussain
Mera dil hai mera sara jahaan Mola Hussain
Imam Hussain Ya Hussain 

 Karbala Saltanat Ishq E Khuda hai
Syed ki sadaat ki mehnat ki silaa hai
Jab se qadam Aal e Muhammad ne rakha hai
Khak ki is shehr ki ab khak e shifa hai
Wali e Karbobala Hussain Imam Hussaina
Waris e Khak e Shifa Hussain Imam Hussaina
Kisne banaya issy Jannat ka nazara
Kon hai wo rehnuma haan mera Imam Hussain
Kon hai wo rehnuma haan mera  Imam Hussain
Bol Hussain  Imam Hussain Hussain Imam Hussain
Mil kar kaho momino mera hai mera Hussain
Har ki qoum ki hai sada apna hai apna hussain

Bad hai na  Karbala Ashoor hai Sahra
Samna Lakhon se Bahattar ka howa tha
Kaam wo Shabbir ne phir kar k dikhaya
Aik ne 9 lakh k lashkar ko haraya
Kam bara kar dia Hussain Imam Hussaina
Marhaba Sad Marhaba Hussain Imam Hussaina
Khak ma Batil k iradon ko milaya
Kon tha wo soorma han Mera Imam Hussain
Kon tha wo soorma Han Mera Imam Hussain
Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain
Han mera wird e zuban rahat e jaan Mola Hussain
Han mera dil hai mera sara jahan mola Hussain
Hussain  Imam Hussain 

Iss tarah Shabbir ne waday ko nibhaya
Rab ki raaza k liye ghar bhar lotaya
Pyary fida kardiye kuch bhi na bachaya
Ishq e khuda kya hai yeh dunya ko bataya
Bol utha sara jahan Hussain Imam Hussaina
Ap sa koi kahan Hussain Imam Hussaina
itna bara kam koi kar nahi sakta
Naam lo wo kon tha Han mera  Imam Hussain
Naam lo wo kon tha Han mera Imam Hussain
Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain
Mil kar kaho momino Mera hai mera Hussain
Har qoum ki hai sada apna hai apna hussain 

Ap sa rubta koi paa nahi sakta
Arey ban k Hussain  aur koi aa nahi sakta
Aisi misaal aur koi laa nahi sakta
Itni bolandi pe koi jaa nahi sakta
Aik hai bas aik tha Hussain imam Hussaina
Aik rahy ga sada hussain imam Hussaina
Arey koi bhi is baat ko jutla nhi sakta
Kon hai jo chaa gaya Haan Mera  Imam Hussain
Kon hai jo chaaa gaya Haan mera  Imam Hussain
Bol Imam Hussain Imam Hussain Imam Hussain
Haan mera wird e zuban rahat e jaaan mola Hussain
Haan mera dil hai mera sara jahaan mola hussain
Imam Hussain ya Imam Imam Hussain Ya Hussain 

Mola ko sadmo sy guzarty howy dekha
Bhai ko beton ko bicharty howy dekha
Jaan se pyaron ko tarapty howy dekha
Samny gulshan ko ujarty howy dekha
Aah kaleeja tera Hussain imam hussaina
Wah tera hosla hussain imam hussaina
Itny sitam aur koi seh nahi skta
Yaad rahy ga sada haan mera  imam Hussain
Yaad rahy ga sada haan mera  imam Hussain
Ya Hussain Han mera  Imam Hussain
Han mera  Imam Hussain 

Haye sar e karbobala jisko sakoon mila nahi
Han mera imam Hussain 
Jiskaa tu kuch raha nahi jiska tu kuch bacha nahi
Haan mera imam Hussain han mera Imam Hussain
Lakhon se jo daba nahi mout se jo dara nahi 
Jiska wo sar kaat ty gaya, kat k bhi sar jhuka nahi
Haan mera  imam hussain haan mera imam hussain
Imam Hussain ya Hussain Imam Hussain Ya Hussain
Be kafan imam Hussain ya Hussain
Be watan imam Hussain ya hussain

Written by: Nadeem Sarwar, Jawad Jaffri & Dr Hilal Naqvi


Mera Imam Hussain Noha Video

Powered by Blogger.
–>