Recent Pakistani Lyrics

Recent Punjabi Lyrics

Post Page Advertisement [Top]

Mere Qatal Ki Tayyari Lyrics is a beautiful Noha Recite by Farhan Ali Waris presented by the Farhan Ali Waris Records label. This creative noha is composed by Farhan Ali Waris, and the lyrics are beautifully penned by Mazhar Abidi. Safdar Kaleem has skillfully directed the noha video for Mere Qatal Ki Tayyari.


Mere Qatal Ki Tayyari Lyrics - Farhan Ali Waris


Mere Qatal Ki Tayyari Noha Details: 

Noha: Mere Qatal Ki Tayyari
Reciter: Farhan Ali Waris
Poetry: Mazhar Abidi
Composed by: Farhan Ali Waris
Director: Safdar Kaleem

Mere Qatal Ki Tayyari Lyrics 

Din Hai Aashoor Ka Or Asar Ki Aaye Hai Ghari
Gird Laashon Ke Akela Hai Hussain Ibn e Ali(a.s.)
Ghair Lo , Maro Isay Shour Hai Lashkar Mein Yehi
Dekho Zakhmi Bhi Hai Piyasa Bhi Hai Taari Hai Ghashi

Haay Sar Peetti Maidan Mein Aayee Zahra(s.a.)
Maan(s.a.) Ko Jab Dekha Shah e Deen Ne Yeh Ro Ro ke Kaha

Amma(s.a.)
Amma(s.a.)
Amma(s.a.)

Teer Talwar Lye Fouj Khari Saari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Teer Talwar Lye Fouj Khari Saari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Koi Talwar Se Maaray , Koi Maaray Khanjar
Bhaala Mara Hai Kisi Ne To , Kisi Ne Pathar
Khoon Se Chehra Bhara , Gurz Laga Hai Sar Par
Khaak Jalti Hui , Phenki Hai Mere Zakhamo Par
Zakham Itne Hain Ke , Har Zakham Se Khoon Jari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

amma(s.a.) Mera Yeh Badan Chalni , Huwa Kuch Aise
Teer Seene Pe Lage Pusht , Se Bahar Nikle
Ek Nezah Hai Huwa , Paar Jo Pehlu Se Mere
Dard Uthta Hai Har Ek , Tooti Hui Pasli Se
Saans Laine Mein Bhi ,  Amma(s.a.) Bari Dushwari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Teer Talwar Lye Fouj Khari Saari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Zakham Khatay Huay Ghore Se ,  Zameen Par Mein Gira
Tha Nidhaal Aisa Ke Utha Bhi, Nahi Jata
Dekha Yeh Haal To Phir, Shimr(l.a.) Meri Samt Barha
Qatal Ghaa Tak Mujhe , Baalon Se Pakar Kar Laya
Haan Tamanche Mujhe , Thokar Bhi Mujhe Maari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Tez Khanjar Jo Abhi Shimr(l.a.) , Ne Hathon Mein Liya
Maar Ke Zor Se Pathar Pe , Isay Kund Kya
Meri Haalat Pe Usay , Reham Nahi Aaye Ga
Tera Zarboo Se Mera, Sookha Gala Katay Ga
Pase Gardan Pe Har Ek, Zarb Bohat Bhaari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Teer Talwar Lye Fouj Khari Saari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Dekha Jata Nahi Amma(s.a.) , Bari Mushkil Hai Ghari
Rait Ke Teele Pe Dekho, Meri Zainab(s.a.) Hai Khari
Bhai Ka Katta Gala, Aaj Behan Dekhe Gi
Rokay Chillay Gi, , Sar Pite Gi, Ghash Khaye Gi
Ek Ek Lamha Yeh, Zainab(s.a.) Pe Bohat Bhaari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Boleen Phir Mazhar o Farhan, Yeh Zahra(s.a.) Rokar
Mein Tere Sath Hoon Har Lamha, Mere Lakhte Jigar
Haaye Tharray Zameen Chalne Laga Hai Khanjar
Rakh Diye Haath Teri, Maan(s.a.) Ne Teri Gardan Per
Bolay Shabbir(a.s.) K Haay Meri Lachari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Teer Talwar Lye Fouj Khari Saari Hai

Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai
Amma(s.a.) Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayari Hai

Written by: Mazhar Abidi


Mere Qatal Ki Tayyari Noha Video

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad [Post Page]

| Designed by Colorlib