Sakina Kho Gai Hai Lyrics - Syed Raza Abbas Zaidi | New Noha 2024
Sakina Kho Gai Hai Lyrics is a beautiful Noha Recite by Syed Raza Abbas Zaidi presented by the Syed Raza Abbas Zaidi Records label. This creative noha is composed by Syed Raza Abbas Zaidi, and the lyrics are beautifully penned by Janab Zeeshan Abidi. Ali Arman Baltistani has skillfully directed the noha video for Sakina Kho Gai Hai.
Sakina Kho Gai Hai Noha Details:
Noha: Sakina Kho Gaye Hai
Recited By: Syed Raza Abbas Zaidi
Poetry By: Janab Zeeshan Abidi
Composition: Syed Raza Abbas Zaidi
Directed By: Ali Arman Baltistani
Sakina Kho Gai Hai Lyrics
Chalte Chalte Rah Main
Jab Ruk Gaya Sarwar Ka Sar
Shaam Ke Ik Modh Par
Pochha Zainab Ne Sabab
To Aai Ye Sar Se Sada
Ae Behan Dhondo Zara
Rah Main Gir Gai Hai Sakina Kahin
Is Liye Mera Sar Aage Badhta Nahi
Dekhe Jab Bhai Ke Ashk Behte Howe
Dhondne Nikli Zainab Ye Kehte Howe
Zakhmi Kano Wali Hai, Baba Baba Kehti Hai
Kya Tum ne Dekhi Hai, Sakina Kho Gai Hai
Sham e Ghareeban Main Pehle Tamache Ka Tha Aaisa Asar
Zalim Ki Angothi Ka Hai Nishan Aaj Bhi Rukhsar Par
Nanne Hathon Se Chehra Chhupati Hai Wo
Apne Aamu Ko Rokar Bulati Hai Wo
Pochho To Batlati Hai, Kitne Din Ki Pyasi Hai
Kya Tumne Dekhi Hai, Sakina Kho Gai Hai
Phir Shimar Balon Se Khainche Na Wo Is liye Ghabrati Hai
Jab Uske Sar Pe Koi Hath Rakhta Hai To Dar Jati Hai
Baap Ki Lash Par Aaise Mara Usse
Uske Kuchh Bal Hain Ab Bhi Tote Howe
Shimar Se Wo Chhupti Hai, Jane Kitna Darti Hai
Kya Tumne Dekhi Hai, Sakina Kho Gai Hai
Qaidi Banate Howe Jis Rasan Main Hamain Bandha Gaya
Jab Us Rasan Main Hi Jakda Gaya Khainch Kar Uska Gala
Uske Chahre Ke Rangat Badalti Rahi
Sath Mere Wo Panjon Pe Chalti Rahi
Chhoti Si iK Bachi Hai, Jis Ki Gardan Zakhmi Hai
Kya Tumne Dekhi Hai, Sakina Kho Gai Hai
Ae Sham Walon Isse Rah Main Tum Agar Dekho Kahin
Usko Duaon Ke Badle Main Sadqa Kabhi Dena Nahi
Raste Ka Ye Manzar Wo Bholi Nahi
Sadqa Kar Ke Khajorain Jo Phainki Gain
Chhoti Syed Zadi Hai, Is Ghurbat Pe Roti Hai
Kya Tumne Dekhi Hai, Sakina Kho Gai Hai
Hai Char Sala Magar Ik Zaifa Si Ab Dikhti Hai Wo
Balaon Main Uske Safaidi Hai Kham Hai Kamar Aaisi Hai Wo
Chalna Mushkil Hai Jane Kahan Hogi Wo
Aik Ye Bhi Hai Uski Nishani Suno
Gir Gir Kar Wo Uthti Hai, Zehra Jaisi Lagti Hai
Kya Tumne Dekhi Hai, Sakina Kho Gai Hai
Naqe Se Gir Gai Thi Sakina Jahan
Dhondte Dhondte Pohnchi Zainab Wahan
Aik Zakhmi Zaifa Ki Aghosh Main
Jab Sakina Ko Dekha To Ki Ye Fughan
Tera Ehsan Na Bhol Paongi Main
Apni Maa Se Shifaat Karaongi Main
Chehre Se Parda Hata Kar Zaifa Yahi Kehne lagi
Pehchan Le Meri Zainab Mujhe Main Wohi Maa Hon Teri
Thi Raza Aur Zeeshan Kaisi Ghadi
Bolain Zehra Sakina Bohat Thak Chuki
Sun Sun Kar Ye Uthti Hai, To Jab Bhi Ye Kehti Hai
Kya Tumne Dekhi Hai, Sakina Kho Gai Hai
Written by: Janab Zeeshan Abidi