Ye Asr e Ashoor Hai Lyrics - Irfan Haider | New Noha 2024

Ye Asr e Ashoor Hai Lyrics is a beautiful Noha Recite by Irfan'e Aza Syed Irfan Haider presented by the Irfan Haider Records label. This creative noha is composed by Raza Shah, and the lyrics are beautifully penned by Zeeshan Abidi. Qamarain Haider Rizvi has skillfully directed the noha video for Ye Asr e Ashoor Hai.


Ye Asr e Ashoor Hai Lyrics - Irfan Haider


Ye Asr e Ashoor Hai Noha Details: 

Noha: Ye Asr e Ashoor Hai
Poet: Zeeshan Abidi
Composition: Raza Shah 
Directed By: Qamarain Haider Rizvi

Ye Asr e Ashoor Hai Lyrics 

Hussain Ya Hussain..
Hussain Ya Hussain..
Hussain Ya Hussain..

Maare gaye sab ansar e hussaini
faraat behti hai..
balaa ki garmi hai..
hai mutma'in teen din ka pyasa
khayam e sadaat se musalsal
sadaa ye aati hai..

Hussain Ya Hussain..
Hussain Ya Hussain..

Hai karbala mein.. Hussain tanha
khuda khair kare.. khuda khair kare

Hai karbala mein Hussain tanha
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Takte hai sue asmaa'n
jaari hai kuch wird e zabaa'n
chehre pe Asghar ka lahu
ab mar chuke shah e zamaa'n
hai dhoop sar par, nahi hai saaya
hai dhoop sar par, nahi hai saaya
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Abbas ke baazu kate
Qasim ke tukde hogaye
Akbar ka seena chhid gaya
Aun o Mohammad na rahe
kise pukare.. ghareeb e zehra
kise pukare ghareeb e zehra
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Teero tabar ke waar se
maara kabhi talwar se
haye qayamat hogayi
jab woh gira rahwar se
na zeen par, na zameen par thaL
nabi ka shehzada..
na zeen par, na zameen par tha
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Laashe uthakar thak chhuka
laakho ne hai ghera hua
hai khoon ke pyaase sabhi
aakar bacha lo Fatima
lahu mein tarr hai tumhara beta
lahu mein tarr hai tumhara beta
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Jab shimr ka khanjar chala
kat kar gira sukha gala
tha bhai aur humsheer mein
sattar qadam ka fasla
na jane Zainab ne kaise dekha
na jane Zainab ne kaise dekha
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Yeh arsh se aayi sadaa
raazi hu Mai aa laut aa
talwar rakhkar nyaam mein
palte jo shahe karbala
Ali ke bete ko sab ne maara
Ali ke bete ko sab ne maara
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Zeeshan o Irfan e azaa
royi zameen e karbala
jab shimr sar shabbir ka
khaimo ki janib le chala
tadap raha tha zamee'n pe laasha
tadap raha tha zamee'n pe laasha
Yeh asr e ashoor hai
Yeh asr e ashoor hai

Written by: Zeeshan Abidi


Ye Asr e Ashoor Hai Noha Video

Powered by Blogger.
–>