Recent Pakistani Lyrics

Recent Punjabi Lyrics

Post Page Advertisement [Top]

Zakhmi Hai Sakina Lyrics is a beautiful Noha Recite by Farhan Ali Waris presented by the Farhan Ali Waris Records label. This creative noha is composed by Farhan Ali Waris, and the lyrics are beautifully penned by Mazhar Abidi. Safdar Kaleem has skillfully directed the noha video for Zakhmi Hai Sakina.


Zakhmi Hai Sakina Lyrics - Farhan Ali Waris


Zakhmi Hai Sakina Noha Details: 

Noha: Zakhmi Hai Sakina
Poetry: Mazhar Abidi
Composed by: Farhan Ali Waris
Director: Safdar Kaleem
 

Zakhmi Hai Sakina Lyrics 

Chalna Chahoon Tu Chala Bi Nahi Jata
Paon Zakhmi Yeh Uthta Hi Nahi Mera
Sona Chahoon Tu Soya Bi Nahi Jata
Pusht Zakhmi Hai Zakhmo Say Hai Khoon Behta
Saans Layti Hun Tu Dukhti Hain Pasliyan
Dadi Zahra (s.a) Ki Tarhan, Tuotin Hain Pasliyan

Rukhsar Meray Zakhmi
Kaano Say Lahoo Jari
Bunde Bi Chhine Meray
Kurta Bi Jala Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Baba, Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Dhoondti Phirti Thi Main Aap Ka Lasha Baba
Ek Zalim Nay Mujhy Rok Kay Mujhse Poocha
Dhoondti Kis Ko Hai Baba Ka Teray Naam Hai Kya
Meray Baba Hain Hussain Ibn e Ali Mainy Kaha
Phir Ghaiz Main Woh Aaya
Chehry Pay Mujhy Mara
Reti Pay Gira Daala
Main Kayhti Rahi Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Raah Main Chaltay Huwy Qafla Thehraya Gaya
Pani Lay Kar Jo Wahan Shimar e Laeen Aaya Tha
Apne Lashkar Ko Wahan Pani Say Sayraab Kya
Pani Dikhla Kay Mujhy Sira Wahin Phenk Diya
Phir Hans Kay Woh Kayhta Tha
Piyasa Tujhe Rakhunga
Balon Ko Meray Khencha
Or Khoonn Rasa Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Pusht Zakhmi Hui Sajjad Ki Tu Mainy Kaha
Haye Maaro Na Ussy Bhai Hai Bemaar Mera
Sun Kay Aawaz Meri Shimr Meri Samt Badha
Bhai Ko Chod Diya Phir Woh Sitam Mujh Pay Kiya
Mara Mujhy Tamacha
Chehry Say Lahoo Nikla
Woh Haath Sitamgar Ka
Bhaari Tha Bara Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Kha Kay Zalim Kay Tamache Mujhy Ghash Aata Tha
Phir Tamacho Say Hi Woh Hosh Main Lay Aata Tha
Hans Kay Kayhta Tha Bula Baba Ko Ammu Ko Bula
Jitna Tu Roye Gi Utna Hi Tujhe Marunga
Phir Dil Mera Ghabraya
Or Jism Bi Tharraya
Yehh Haal Mera Dekha
Na Reham Kya Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Mera Nannah Sa Gala Rassi Say Bandhwaya Gaya
Mujh Ko Panjoo Pay Kabhi Kaanto Pay Chalwaya Gaya
Tez Chaltay Huwy Naqoo Say Bi Girwaya Gaya
Sir Ba Rehna Mujhy Bazaar Main Phirwaya Gaya
Thi Itni Thakan Baba
Paon Bi Na Uthta Tha
Us Waqt Jo Ghash Aaya
Aaise Jagaya Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Jab Main Zindan Say Rehae Ki Khabar Paoungi
Dadi Zahra (s.a) Ki Main Turbat Pay Chali Jaoungi
Apni Tuoti Hui Pasli Unhe Dikhlaongi
Chaar Saala Main Zaeefa Hun Yehh Batlaongi
Hum Dono Hain Mazlooma
Ek Jaisa Hai Gham Apna
Zalim Nay Jo Rulwaya
Dono Nay Kaha Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Kaisa Woh Mazhar o Farhan Tha Gham Ka Manzar
Qaiid Khany Main Sakina (s.a) Ko Milaa Baba Ka Sir
Roi Kuch Der Woh Moon Baba Kay Moon Payr Rakh Kar
Bas Yehhi Kayhte Huwy Kar Gaye Duniya Say Safar
Yehh Aakhri Jumla Tha
Ab Sabr Nahi Hota
Sir Rone Laga Shah Ka
Beti Nay Kaha Baba
Haye Itna Mujhy Mara
Baba, Haye Zakhmi Hai Sakina (s.a)

Baba
Meray Baba

Written by: Mazhar Abidi


Zakhmi Hai Sakina Noha Video

No comments:

Post a Comment

Bottom Ad [Post Page]

| Designed by Colorlib