Naksha Lyrics - Seedhe Maut | Shakti 2024

Naksha Lyrics is a beautiful song from the new album Shakti 2024 sung by Seedhe Maut presented by Seedhe Maut Music label. The music for this captivating track Naksha has been given by Siddhant Sharma, with heartfelt lyrics penned by Abhijay Negi & Siddhant Sharma. 


Naksha Lyrics Seedhe Maut Shakti 2024


Naksha Song Details: 

Song: Naksha 
Singer: Seedhe Maut
Album: Shakti 2024
Music: Siddhant Sharma
Lyrics: Abhijay Negi & Siddhant Sharma
Music Label: Seedhe Maut Music

Naksha Lyrics 

Ha-ha, ha-ha, ha-ha, ha-ha
Ra-ra, ra-ra-ra-ra-ra
Chaska, chaska, chaska, chaska
Ra-ra, ra-ra-ra-ra-ra
Naksha, naksha, naksha, naksha

Rajdhani lap pe lagaya mai toh laundo ki gaand jalti hai, ni koi dohraaye
Woh jaane mera naam kya hai, kaam kya hai, sheher kya hai
Jaante ni sheher mein hai chalta kya hai
Karaun tujhe darshan, Delhi ke naale ke paar raha hu, kehte usse Jamna hai
Kabhi yahaan kutte bhaunke “Bhau”, kabhi yahaan ghode chalte “Thaaye”
Janam hua khatte ke paas wale flat’on mein, colony ka naam Ghazipur tha (Ghazipur)
Park’on mein kutte ke pillo ko paani pila rahe the mai aur Apoorva (Apoorva)
Kalyan Puri bhai baitha ek aur Khichripur mein hai scam kare doosra (Scam)
“School ki donation hai” bolke, padosiyon se aith raha hai khoob saara rokda (Cash)
Paanchvi mein ghar hua change, aaya khatte ki parli side, jise kehte hai Phase-3
Haan, Khora ke launde hai street smart, Gharoli ke launde hai desi
Haan, Kondli ke launde hai kaandi, ni sehte hai Noida ke bezzati
Kabhi Majnu ke tille pe momos, kabhi Shahdara ke station pe pastries
East side mere dosto ki tharti hai, launde asli par kapde nakli
Yahaan aana hai toh aa, teri marzi, tu kho jaayega galiyon mein Laxmi Nagar ki
Tode Seelampur me pasli, phir jaake Yamuna Bank mein masti
Jamnapaar ka naksha kheencha, padhle tu aa agar hai tere bas ki

Rajdhani hathiyaar, hatthe chalte daayein-baayein
Jaldi dhundo uska ghar, chhipa baitha kaha hai, kaha hai
Jaise mela, bande gediyon mein maare saaye-saaye
Isse pehle hota hi, uska hua bye-bye

Khatta khoka, pakka mera
Chaska, chaska, chaska, chaska
Career mera inke liye hai
Naksha, naksha, naksha, naksha
Delhi, Jamna, khatta mera
Chaska, chaska, chaska, chaska
Career mera inke liye hai
Naksha, naksha, naksha

Tera bhai
Samaypur Badli se, samay par badla hai
ABJ aur mere pichhe aati khaali jamna hai
Pehle wala [?], metro ki janta hai
Delhi ka launda pichhe ni hat’ta hai
Ghooma hu pura Pitampura jaise mera kabza hai
Nikla hai dil se hi Delhi ka naksha hai
DC Chowk pe cop ki bike pe bag deke bhaaga usse dhunda Rohini mein ek hafta hai
Dost ne dikhaya CCTV
Woh khada tha M2K pe, hota dekha phone gayab uska Bittoo Tikki pe
Usse pata nahi laga woh kab phone ko le gaye
Phone mila OLX pe, likha Ghaffar
Bulaya usse Netaji Subhash ke pass
Aur saath saat thulle undercover, khaali shirt change kari
Niche uniform mein khade kare station ke bahar
Operation hai fire
Aaya dost se mila toh kehta, “Aaya seedhe aapke paas”
“Kashmere Gate se aur jaana mujhe laangh ke wapas”
Beta jaanta ni thaane jaayega uss raat, ek phone se Tihar
Aate yahaan pe bohot hai beemar, sote hai AIIMS ke jo bahar
Wahi se bhi daaru bhi chalti hai, gaadi bhi bhagti hai, thulle bhi chhaapte hazar
Sou-South side Delhi mein rakhte auzaar, West side Delhi mein rakhte aukaat mein
Najafgarh freezer mein rakhte hai laasho ko kaat kar aur scene hua toh bhaagte hi saare
Na-naksha ye Delhi ka SM pe hai safe and found
Tabhi haste hai, likhte jab bars
Delhi ke hawa boli, “Never put your pen down”, tabhi saare galiyon mein [?]

Rajdhani hathiyaar, hatthe chalte daayein-baayein
Jaldi dhundo uska ghar, chhipa baitha kaha hai, kaha hai
Jaise mela, bande gediyon mein maare saaye-saaye
Isse pehle hota hi, uska hua bye-bye

Khatta khoka, pakka mera
Chaska, chaska, chaska, chaska
Career mera inke liye hai
Naksha, naksha, naksha, naksha
Delhi, Jamna, khatta mera
Chaska, chaska, chaska, chaska
Career mera inke liye hai
Naksha, naksha, naksha

Written by: Abhijay Negi & Siddhant Sharma


Naksha Music Video

Powered by Blogger.
–>