Smile Lyrics is a beautiful song from the new album Ghosts, and Goodbyes 2024 sung by Umair & Talha Anjum presented by Umair Music label. The music for this captivating track Smile has been given by Umair & Talha Anjum, with heartfelt lyrics penned by Talha Anjum.
Smile Song Details:
Song: Smile
Singer: Umair & Talha Anjum
Music: Umair & Talha Anjum
Lyrics: Talha Anjum
Music Label: Umair
Smile Lyrics
Toh chal ab muskura de
Aise ro kar dil halka ho ya na ho ab kya pata hai
Zindagi ko gale se laga le
Yeh pal beet kar nahi ayenge wapis
Hume yeh pata hai
Mushkil hai beshaq zindagi par thora sa muskura le
Tu mujhe pareshan si lage
Apne he ghar mein mehmaan si lage
Padhu tujhe tu imtehan si lage
Kabhi tu itni khush ke itmenan bhi rahe
Tu khwab dekhti hai ab kyun tol-tol kar?
I know woh tera boy hai but he fucks around with others or tu thak gayi hai use yeh sab bol-bol kar
Tu paani peeti sharabon mein ghol-ghol kar
Dekh barish tu khuda ki qudrat boond-boond par
Zamana dekha hi khushiyan dhund-dhund kar
Tujhse baat krun janeman mein kis amoor par
Tu khudhi ek mazmoon, ek fasana, ek ghazal
Kitaabi zameeni mein rakhun choom-choom kar
Tu khwab mein tu nazar mein nahi door-door tak
Jinko tu mayassar unko nahi teri qadar
Jinko tu nahi mayassar woh sirf tere muntazir
Par dil ko tum krna chota zara bhi nahi
Yeh meri ilteja hai mashwara he nahi
Tujhy lagta hai tujhe sab pata hai meri jaan
Tu kitni khoobsurat tujhe yeh pata hi nahi
Tu jo chahe woh karle tujhe Rab ne di woh majaal
Tu sir utha ke kar saamna kar uthy jab sawal
Tujhmy hai sab jawab, karde sabko lajawab
Tu rab ki ek takhleeq, Tu Rab ka ek kamaal tu
Toh chal ab muskura de
Aise ro kar dil halka ho ya na ho ab kya pata hai
Zindagi ko gale se laga le
Yeh pal beet kar nahi ayenge wapis
Hume yeh pata hai
Mushkil hai beshaq zindagi par thora sa muskura le
Sach batao kya tum hame pehchante ho?
Duaon mein Khuda se tum kya maangte ho?
Kabhi dafna k aye ho kisi apne ko?
Kya mitti daal kar tum bhi hath jhaadte ho?
Mein kabhi nahi akela but I'm always lonely
Mein chala hun talaash mein yaha sau-sau meel
I do this rap shit for my dead homies
Yaad reh gayi hain baate what they told me
Toh meri tarah tu bhi kamar bandh
Zindagi ki mushkile khud karni hai asaan
Or jo abhi hua nahi uski fiqr kya kare?
Yeh adate ajeeb hai
Mein aise he toh nahi kehta na "Insaan bhi kya cheez hai?"
Falak hai, zameen hai, beech mein umeed hai, khuda ki madad qareeb hai
So, you just have to be strong and baby we will see through this
Toh chal ab muskura de
Aise ro kar dil halka ho ya na ho ab kya pata hai
Zindagi ko gale se laga le
Yeh pal beet kar nahi ayenge wapis
Hume yeh pata hai
Mushkil hai beshaq zindagi par thora sa muskura le
Written by: Talha Anjum
No comments:
Post a Comment