Recent Pakistani Lyrics

Recent Punjabi Lyrics

Post Page Advertisement [Top]

Hood Poetry Lyrics is a beautiful song from the new album Halaat 2024 sung by MC Altaf presented by Gully Gang Records Label. The music for this captivating track Hood Poetry has been given by Audiocrackerr, with heartfelt lyrics penned by MC Altaf.


Hood Poetry Lyrics MC Altaf Halaat 2024


Hood Poetry Song Details:

Song: Hood Poetry
Album: Halaat 2024
Singers: MC Altaf 
Lyrics: MC Altaf 
Music: Audiocrackerr
Label: Gully Gang Records

Hood Poetry Lyrics

Andhero se hai dosti tabhi mujh mein hai roshni
Kitne maare apne mere bas kar khuda aur nahi
13 saal ka ladka usko school do koi job nahi
Dua karte roz hume zinda rakhna maut nahi
Mene dekha yahan pe logo ko khanjar rakhte hai zehen mein
Aur dekha aise logo ko rishta nahi karte rehem se
Ski mask on jaali mukhote nahi pehente
Hum aise nikle gully se jaise nikle hum mehal se

Maa ka sapna pooora karna farz hai mera
Par pata nahi usko kitne dard se bhara
Main bola khuda barkat de main dar pe khada
Bure sapne aare roz jo hai dard se bada

Kahani mere hood ki kahani meri khud ki
Roz dekha crime mera naka bana surkhi
Dikhta nahi khuda kiski umeed hai murti
Sheher mein hee zeher hai kabhi leke dekh tu chuski

Poche kahan zindagi mein karne lage music
Maine bola mujhko dedo haar aur usko bola tu jeet
Mere aasu ki kya kimat dhue mein udte two Gs
Hathkadiyan mere doston pe bilkul bhi lagti cool nahi

Mujhe mile kitne scar zakhm yeh dil pe gehra
Mera hood hoga top kyuki wahan pe mera chehra
Mere log ki aawaaz banu kyuki system yahan pe behra
Aur jo bhi main hun kehra

Meri samne nahi roti thi yeh dekhe k maa bhi rothi thi
Main jabhi bhuka tha madat mile padosi ki
Mera ek homie abhi saath nahi
Pehle uski meri jodi thi
Woh karne laga riding zindagi uski choti thi

Chod gaya woh sabko main bola uski maa ko mujhe apna beta samjho
Yeh dukh aur dard kabhi khatam nahi toh hona nahi kamzor
Kabhi nahi bhule yeh karz ko
Aur kabhi nahi bhule yeh farz ko

Ankhon se ansu bhi sukh gaye
Dil bana mera pathar ka
Khudko main deta taqleef
Ruh bole meri bas karna
Kabhi se aari nahi neend
Logo lage main drugs karra
Trip deri meri zindagi
Aur kisko ghanta nahi farak padra

Abhi toh aane do note ko
Rakhta yeh jeb mein log ko
Abhi bas poora karna mere shauk ko
Abhi woh aati hai samne
Usko main pucha tum kon ho
Yaaaa
Akela mujhko chhod do yahan
Chahiye nahi mujhko koi yahan
Chehre mein mere hai muskurahat

Rahat ki hai saasein jabhi rehta mere gully mein
Main bhalese tha kuch bhi nahi tab pyaar kiya tha sabhi ne
Yeh duniya ki nazar mein hum toh ladke hee the kaminey
Joode apni mithi se kyuki dafan hona zameen mein

Sote the hum farsh pe
Tabhi sapne dekhe arsh ke

Sote the hum farsh pe
Tabhi sapne dekhe arsh ke

Andhero se hai dosti tabhi mujh mein hai roshni
Kitne mare apne mere bas kar khuda aur nahi
13 saal ka ladka usko school do koi job nahi
Dua karte roz hume zinda rakhna maut nahi
Mene dekha yahan pe logo ko khanjar rakhte hai zehen mein
Aur dekha aise logo ko rishta nahi karte rehem se
Ski mask on jaali mukhote nahi nahi pehente
Hum aise nikle gully se jaise nikle hum mehal se

Written by: MC Altaf 


Hood Poetry Music Video



No comments:

Post a Comment

Bottom Ad [Post Page]

| Designed by Colorlib