Regret Lyrics is a beautiful song from the new album The Last Mixtape 2024 sung by Kalam Ink presented by Kalam Ink Music Label. The music for this captivating track Regret has been given by Cj Chirag, with heartfelt lyrics penned by Kalam Ink. The music video for Regret has been skillfully directed by Badbola.
Regret Song Details:
Song: Regret
Album: The Last Mixtape 2024
Album: The Last Mixtape 2024
Singer: Kalam Ink
Music: Cj Chirag
Lyrics: Kalam Ink
Director: Badbola
Music Label: Kalam Ink Music
Regret Lyrics
I know tujhe darr lagta hai
Main waade karunga aur fir badal jaunga
I know tu tooti hai bhot,
Main jodunga phir se aur phir tod jaunga
Main jitne waade bhi krunga main saare nibahunga saare nibahunga
In aankho ko bhot rulaya hai maine
Kasam se ab ni rulaunga
Tu titli masoom si bhawre se dil kyu laga baithi hai
Main akele kamre mein band aankhein khuli dekha tu baithi hai
This pain is for real, regret bhi yeh real hai
I know main dhoke de jata hoon, par is baar yeh saara ka sara hi real hai
Text maine bhot bheje baby tere naam ke
Haan kiya maine cheat bhi toh li hai maafi aapse
Tu duniya se alag mujhe lagti mehfooz
Aur main pyaar aaya baat mujhe sharam khudke naam pe
Aane lage ghin jab bhi sochu apni aadatein
Idhr udhr muh maru aisi bhi kya aafat hai
Jin dosto ke naam pe lada rha tha aapse
Woh khaal gye chorh I mean mera matlab saanp
Aur text kare sale bole bhai mujhe milna hai
Mera cousin fan tera unko tujhse milna hai
Par mujhe laga shyd unhe galti ehsaas hai
Meri galat fehmi mujhe aiso se ni milna hai
Woh dete ab dilase main kehte bhai rehndo
Dekhe khud dhoke khud sharam ni thi merko
Main jal rha tha badle ki aag ke kch dosto ki
Tune hi smjhaya chlo chorhi baby rehndo
Yahan apne toh apne ni hote, tu toh parayi pr phr bhi smbhala hai
Hum toote hue khwaab sajate the, tune toh toota insaan sajaya hai
Tu kaafi haseen se cheez hai, kyuki tu logo ko dua de jaati hai
Wrna yeh duniya haram yahan koi bhi cheez dil se utar jaati hai
Tere dard kare bleed ab, haan main badla insaan saare message chorhun seen par
Sirf matlab pe call kare bhai tu, mushkil halaton pe kahan tha tu speak up
Inki baatein mujhe irritate kare, they don’t make sense, aurton se zyada hai yeh bitch saale
Jab bhi sochu ke main likh nhi paunga, toh zakham tere dard deke bole mujhe likhta reh
Mujhe farak nai kon mujhe kya soche
Ghatiya insaan hai yeh saale inki kya hi soch hai
This is a letter to you jinme mere regret hai
Nashe ka shaukeen hoon main jeb mein bas cigarette hai
One peg down teri yaadein mere sar charhe
Seedi tha main matlab ki jis pe jaani sab charhe
Teen chaar din toh main kamre mein band tha
Woh bhi badal gaya jisko badalne ka dar tha mere
Ab hum kya hi kare, tujhe diye hue dukhon ka hisaab maine likh diya hai
Ab woh khuda intezaar na kare, hum bekaar reh gaye, tum tabah kar gaye, yeah yeah
Behti hawaon ko hum phr se rulaenge, tum zulm karo jaana hum hass kar seh jaenge
Mujhe chorhke bharosa rkhe sab par, sabar karo jana woh sab faida uthaenge..
Tooti cheezon ko sahare hote hai, laakho se jeetne wle ek se haare hote hai
Jab shayar roye panno pe kalam ke sahare woh geet nahi hote hai wo paigaam hote hai
Jo maut tak de saath hum woh wali nasal hai
Bas karo jana mere ghr me bhi masle hai
Tere chale jana door itna asan nahi tha
Samne se gaya woh main bilkul hairaan nai tha
Mere baare kare article yeh shit talk
Flow so smooth jaise beat pe ho moonwalk
Maza jo khone mein woh bilkul ni paane mein,
Kabhi kabhi lage saali zindagi mazak aadhi umar pass aaye aadhi lagi door jaane mein
This is life...
Aadhi umar pass aaye aadhi lagi door jaane mein
Aadhi umar pass aaye aadhi lagi door jaane mein
Aadhi umar pass aaye aadhi lagi door jaane mein
Written by: Kalam Ink
No comments:
Post a Comment