Maafi Lyrics - Nakash Aziz | Kanguva 2024
Maafi Lyrics is a beautiful song from the new movie Kanguva 2024 sung by Nakash Aziz presented by Saregama Music label. The music for this captivating track Maafi has been given by 'Rockstar' Devi Sri Prasad, with heartfelt lyrics penned by Raqueeb Alam. The music video for Maafi has been skillfully directed by Siva.
Maafi Song Details:
Song: Maafi
Movie: Kanguva 2024
Singer: Nakash Aziz
Lyrics: Raqueeb Alam
Music: 'Rockstar' Devi Sri Prasad
Label: Saregama Music
Maafi Lyrics
Araro Are Raro Ara Are Raro
Araro Are Raro Aro Aro Araro
Araro Are Raro Ara Are Raro
Araro Are Raro Aro Aro Araro
Dharti Ye Jo Seene Ko Cheer Ke Pyaas Bujhaati Hai
Shaakhon Ko Jo Kaate Hum Wo Saaya Barsaati Hai
Sau Chotein Khaata Hai Patthar Tab Moorat Ban Paati Hai
Patthar Ko Jo Tarashe Se Patthar Se Moorat Ban Jaati Hai
Maafi Hai Masle Hue Phoolon Ki Khushboo Ki Tarah
Maafi Ke Bin Zindagi Be Rooh Ki Tarah
Maafi Hai Masle Hue Phoolon Ki Khushboo Ki Tarah
Maafi Ke Bin Zindagi Be Rooh Ki Tarah
Araro Are Raro Ara Are Raro
Araro Are Raro Aro Aro Araro
Araro Are Raro Ara Are Raro
Araro Are Raro Aro Aro Araro
Dil Ko Dheere Dheere Kha Jaaye Inteqaam Ki Naagin
Par Jo Dil Khud Toota Ho Maaf Kare Toh Wo Bhagwan
Are Insaan Galti Ka Putla Hai Galti Kar Kar Seekhe
Har Galti Ki Jo Hogi Saza Toh Bachega Kya Jeevan
Patjhad Mein Ped Se Patta Patta Toote Gir Jaaye
Mausam Bahaar Ka Ho Toh Daali Daali Kaliyan Muskaaye
Maafi Hai Masle Hue Phoolon Ki Khushboo Ki Tarah
Maafi Ke Bin Zindagi Be Rooh Ki Tarah
Maafi Hai Masle Hue Phoolon Ki Khushboo Ki Tarah
Maafi Ke Bin Zindagi Be Rooh Ki Tarah
Araro Are Raro Ara Are Raro
Araro Are Raro Aro Aro Araro
Gobhar Ki Garmi Se Haathi Hai Kitni Door Bata Doon
Gehre Panje Ke Nishan Se Wajan Mein Sher Ka Batla Doon
Patthar Pe Kaan Laga Ke Main Paani Ka Srot Bata Doon
Chidiyon Ki Chahak Se Jharna Hai Kis Aur Ye Batla Doon
Waise Jungle Ke Kone-kone Ki Mujhko Khabar Hai
Munna Par Tera Dil Hai Ek Paheli Jo Na Sulajh Paaye
Maafi Hai Masle Hue Phoolon Ki Khushboo Ki Tarah
Maafi Ke Bin Zindagi Be Rooh Ki Tarah
Maafi Hai Masle Hue Phoolon Ki Khushboo Ki Tarah
Maafi Ke Bin Zindagi Be Rooh Ki Tarah
Araro Are Raro Ara Are Raro
Araro Are Raro Aro Aro Araro
Written by: Raqueeb Alam
No comments: